Monday, 25 July 2016

Tasawur43


 Dedidacted to Urvashi Rautela
My First and Last Love
Neither for Pink Nor For Green 
                            This is Only For My Beauty Queen.                  
               



Urvashi ye haal dilon k zabani bataAy nahi jatay
Jo zakham andar lagay hon wo dikhaAy nahi jatay.
Urvashi rautela log pochtay hain baglol tujhay kya huva hai
Ay logo suno ab honay ko reh kya gaya hai.
Ay urvashi khuda shahidey haal hai ham aurton pay marnay valay nahi
Par tujh me Rab ka jalva hai is bat ko kehnay say darnay valay nahi.
 
 
Ay urvashi rautela me kinu akhan dardey vichoray da haal ne
Tun tay menu pagal kar dita tayra husn ay bay misaal ne.

Baglol tujh say to aiena behtar hai urvashi ko daikh kar bhi qaim rehta hai
Ye ishq ka dard chup kar k bardasht kerta hai kuch bhi na kehta hai.
 


Wah ay aienay wah ham tayri himat ki daad daytay hain
Urvashi ko daikh kar bhi bardasht karnay ka tujh say sabaq laytay hain.
Hoor bhi mujhay devana na karti laykin tun devana kar gai
Ay urvashi rautela ham sach kehtay hain hamari har gai.
Urvashi rautela ishq aik say hota hai hazaron say nahi
Abad-ur-Rehman dil pyar say jeta jata hai hathyaron say nahi.
Mera nam koi na lay bus meri mashoq ka naam lo
Aaj say Abad-ur-Rehman ki jagah urvashi rautela ka nam likh do.
 


Urvashi rautela ishq aik gool chakar ki manind hai jis k gird ashiq chakar laga laga kar khud chakra jata hai.Bhalu.
Urvashi qibla ruk sajda karain ya tayri taraf sajda karain
    Ham shukranay k nafal kis taraf mun kar k parhain.
Khaya piya bhi bahar A jata hai
  Urvashi jab andar say ishq tarpata hai.
Ay urvashi rautela me khuda ka munkar ho chala tha tujhay daikh kar phir say iman lay aya hun
Me khud say bahar rehta tha tujhay daikh kar khud me loot aya hun.
      
 

Log na samajhtay thay na samjhain gay ye nadan hain
Urvashi rautela ham tayri poja karnay valay vahid musalman hain.
Urvashi tayra ashiq hun premi hun devana hun
 Tun meri shama hai me tayra parvana hun.
Urvashi mera vajood hi tayri nishandahi hai
Me nay pehli dafa aisi bat kahi hai.
  


Ay urvashia rautela ya meri hazoori me A ya mujhay apni hazoori me lay ja
Ya Rab iman jata hai to jaAy meray ishq ko daimi zindagi ata farma.
Ishq ki ibatada hi jaan liye ja rahi hai
Intaha tak to koi farishta hi pohanchta ho ga.
Abad-ur-Rehman Khan utray thay do farishtay asmaan say tayri tarah khud pay tha bohat naaz
Us waqt ki urvashi rautela ko sab kuch luta diya tha abhi huva tha mahabat ka agaaz.
   
        
Abad-ur-Rehman Khan suna hai wo dono farishtay aaj tak saza kaat rahay hain
Jo us waqt ki urvashi rautela k hathon dil haar gay thay.
Urvashi kahin haroot-o-maroot say to nahi sekha tun nay aisa jado chalana
Aik hi nazar me sain baglol jaisay sain ko apna devana banana.
Urvashi ya tun sach me churail hai ya phir jadogarni
   Sanam kisi aurat ka sain baglol pay vaar nahi chalta.
Maulana tun nahi samjhay ga kyun log jaan daytay hain
Ye mashoq hotay hi zalim hain ye imtihan laytay hain.


Kya koi aisa hospital hai jahan ashiqon ka ilaj hota ho
Ay urvashi rautela jahan koi ishq k marz ko dhota ho.
Ye marzey mahabat to yazeed say bhi zalim nikla
    Urvashi pani samnay hai phir bhi piya nahi jata.
Urvashi ankhon say tayray husn ka jaam pe raha hun
  Mast ho raha hun zindagi je raha hun.
Mushairon me hisa kyun lain ham to jetay hovay hain bazi
Urvashi rautela bas tun shaheed na karay to ham hain gazi.
     
   
   Apna dil ham nay tujhay bagair mangay hi day diya hai
 Ay urvashi rautela ab tun hamain dikha tun kitni sakhi hai.
 Ay urvashi tun paras hai mujhay sona bana day
     Meri qemat lakhon me lagva day.
Urvashi hamain janat ki hoor bhi mil jaAy to ham soda na karain gay
Ham aaj bhi tujh pay martay hain kal bhi tujh pay marain gay.
Urvashi tun hi meri zahanat hai tun hi meri liaqat
  Tayri vajah say hai meri har bat me sadaqat.
Ishq ton vada daku keyra
  Jeyra chaday koi na veyra.
  
    
 Me tayray qabil nahi sanam
    Kahan tun aur kahan mein.
 Apnay andar tayri mahabat ka beej boya hai
   Urvashi jisay serab karnay k liye me bohat roya hai.
Tarpa tarpa kar jaan kyun laytay ho seedhi tarah nikaal lo
Ay urvashi rautela ham mar jain gay hamain apna visaal do.
 
   

 Jab tujhay kisi aur k sath daikhta hun to jalan hoti hai
Ay urvashi rautela meray dil k sath sath meri ankh bhi roti hai.
Ay urvashi tun nahi samjhay ge meray jazbaat
Tayray aur hain aur meray aur hain ehsasaat.


Ay urvashi rautela husn valay daga kartay hain ham bhala kartay hain
Ham qalandar mizaj banday hain har kisi k liye dua kartay hain.
Jeyra vichray yar milvaya jeyra pathar dil piglavay
     Ay urvashi rautela meri jan oho ishq kehlavay.

Ay urvashi rautela tun paryon ki rani hai tun horon ki sardar
Ab is bat say kya farq parta hai kaisa hai tayra kirdar.
Na tayri picture chori hoti na mera dil chori hota
 Ay urvashi na wahan tun roti na yahan me rota
    To phir khud soch mujhay tujh say pyar kaisay hota.
 


Ham kya tayri tareef karain tun aap apni tareef hai
Urvashi rautela hamari tehreer tayray husn k agay zaheef hai.
Pehlay to sirf dil kharab hota tha ab dimag bhi kaharab ho gaya hai
Urvashi mujhay to akhirat say pehlay hi duniya me azab ho gaya hai.
  


Ay urvashi rautela ankh hamari ashkbar hai
Dil tujh say milnay k liye bay qarar hai.
Ham nay kaha tha ishq ki aag me jala tun to hamain hasad ki aag me jala rahi hai
Ay urvashi rautela tun hamari nazron k samnay hi dosron ki banhon me ja rahi hai.
Ay urvashi log kya kahain gay ashiq abad hai aur urvashi kisi aur ki banhon me jati hai
 Mujhay kahain gay kya tujhay thori se bhi sharam ati hai daikh tayri mashoq kya kya gul khilati hai.
Khair tujhay hamari parvah kahan tun to apni marzi karay ge
Ay urvashi tujhay samjhaon ga to tun meray sath laray ge.
 

 
Urvashi aisay dosron ki banhon me jana acha nahi hota
  Har banhon me laynay vala shaks ashiq sacha nahi hota.
Sacha ishq banhon me nahi dil me jaga banata hai
 Ye ashiq ko farsh say arsh par lay jata hai.
Qudrat ka khail hai me nahi kar sakta dakal andazi
Ye mat bhol urvashi kabhi shatan bhi hota tha namazi.

 
Urvashi meray dil-o-dimag par teyra pehra hai
Tayri mahabat ka diya zakham bohat gehra hai.
Tun badan hai aur me tayra libas hun
Urvashi me door hotay huvay bhi tayray paas hun.

Ay musalman tujhay kis nay kaha shadi k bagair janaza jaiz nahi hota
Ay musalman har shaks tayri tarah aurton k sath nahi sota.
Ay urvashi daikh ye musalman ye ghatay ki dukan
    Dil say to kafir hai aur dayta hai azaan.
Ay urvashi munafiq honay say to kafir hona acha hai
  Janay man tun khush qismat hai tayra premi sacha hai.
   
    
India valo aik bat yad rakhna
 Meri urvashi ko sanbhal k rakhna.
Jinyan masetan onay qiblay sanu chutkara milya
  Ay urvashi tayra shukria sanu nazara milya.
Tujhay kis nay kaha urvashi janat me nahi jaAy ge
   Me ashiq hun mashoq k sath adli badli kar lun ga.
  Mashoq janat me na gai to ham bhi na jain gay
   Dozak me mashoq k sath rahain gay ashiqi nibhain gay.
   


Toba toba astagfar ye tayray chehray ka sehar ye taryi zulfon ka jado
Ay urvashi rautela tun ban ja Lal hussain me ban jata hun madho.
Mashoq ki tareef karnay say koi kafir hota hai to me kafir hun
Sain baglol keh day musalmano me koi mard hai to mujhay kalima parahAy.
 
Urvashi rautela apni mashoq k sath ziyadti karnay valay ki misaal aisay hai jaisay koi shaks safaid suit pehan k is pay daag laga day.Bhalu. 
Urvashi tujhay to Rab nay apnay hathon say banaya hai
Aisay lagta hai jaisay us nay khud sajaya hai. 
 

Urvashi tayra aik jalva imtihan layta hai to dosra jaan
Tayray har ik jalvay ki hai ik alag hi shan.
Lakhon ankhain hotin aur lakhon bar tayra nazara
Sanam kyun k tun hai hi itna pyara.
Daikho ye musalman pal me tola pal me masha
Urvashi ham tayray premi hain nahi chahiye bipasha.
Ya Rab subhan tayri qudrat tun nay urvashi jaisi cheez banai hai
Jis nay ham jaisay nalaik faqeer k andar ishq ki agg lagai hai. 
  
Na aurtain Yusuf ko daikhtin na un k hathon pay churi chalti
Ay urvashi rautela na me tujhay daikhta na meri taqdeer ankhain malti.
O meray khudaya tun nay ye kya kar dala
  Urvashi ko husn diya hamaray hathon me zehar piyala.
Abad-ur-Rehman Khan India valon ko sirf aik hi kaam ata hai qabza karna
Pehlay bharti fooj nay kashmir pay kiya aur ab urvashi nay meray dil pay.

Urvashi Rautela ye India valay Pakistaniyon k dushman hain me ye bat jaan gaya hun
Ye kabhi golyon say maartay hain to kabhi husn say me ye maan gaya hun.
Ay zalim India valo Pakistanyon pay tars khao
Yan Kashmir day do ya urvashi mujhay thamao.
O meray khudaya o meray khudaya
  Tun nay kis miti say urvashi ko banaya.
  

Urvashi galti meri hai jo me nay tujh say dil lagaya
Khuda ko chor kar husn k mujasmay ko mabood banaya.
Urvashi dhoka karna koi haseeno say sekhay
   Ye janti hain dhokay k bohat tareqay.
Tayri mahabat ki lehron nay hamain kinaray tak anay na diya
Urvashi ham jis simt jana chahatay thay us simt janay na diya.
Ay urvashi khusk sehra bhi samundar ban jain gay
   Sanam tayri yad me ham itnay anso bahain gay.
    

Tayri khatir apno ki bhi batain sunin gairon nay bhi diye tanay
Urvashi phir bhi tujhay bhalu pay reham na aAy tun na manay.
Urvashi saray hindu tayri tarah pathar dil hotay hain ya sirf tujh me ye khasiyat pai jati hai
Bhalu baglol hinduon say dil na laga in me to marnay k bad jism ki bhi chita jalai jati hai.
Tujhay daikh kar mujhay wo mila hai jo logon ki soch samajh say bahar hai
Ay urvashi rautela tayri mahabat ka phol batin me hai laykin khushbo zahar hai.
   

Urvashi ham nay tujhay jan say bhi barh kar chaha par tun nay hamain apna dil na diya
Larai hinduon aur musalmano k darmiyan thi tun nay apnay premi say kis cheez ka badla liya.
Ham nay pyar ki nadyan baha din par tun nay pyar ki aik bond tak na barsai
Urvashi rautela ham bhokay rahay par tun hamaray liye apni mahabat ka halva na lai.
 

Ab duniya khud faisla karay ge musalman sacha tha ya hindvani
Urvashi par shayad tab tak tun ban chuki hogi bachon ki nani.
Urvashi rautela ashiq mashoq ko hamesha izat dayta hai
    Wo jhota ashiq hai jo izat loot layta hai.
Urvashi ab konsi nai acting karay ge kisi aur pay bijli giranay k liye
Apni acting ka faraib day kar mardon ki nazar me anay k liye.
Ay urvashi rautela akhir tun actress hi nilki haqeqat ki duniya say bay khabar
Ye pyar acting ka nam nahi is me ashiq khodta hai apnay hi hathon say apni qabar.
   

Ham tayri khatir dozak me janay ko bhi tayar hain par tun to sach me lay jana chahati hai
Ay urvashi rautela tun mashoq hai ya churail tun apnay hi ashiq ko jalana chahati hai.
Urvashi roader theek karta hai ye mahabat say ghabrata hai
Ye aurton ko sirf apnay bistar ki zenat banata hai.
Ham nay pyar ki nadyan baha din par tun nay pyar ki aik bond tak na barsai
Urvashi rautela ab duniya khud faisla karay ge kis nay vafa ki aur kis nay bay vafai.
  

Urvashi mahabat say bari bhi aur koi hai kya saza
Ashiq mashoq ko manata hai aur roth jata hai khuda.
Ay urvashi rautela kya ab ye sila day ge tun hamain hamari mahabat ka
Ham tayray siva kisi aur k paas na jain gay aur tun hamaray siva sab k paas jaAy ge.
Apni har dharkan pay tayra nam likhavaya hai
  Urvashi tujhay ham nay apni zindagi banaya hai.
 

Kabhi socha na tha tayri mahabat me is had tak chalay jain gay
Urvashi khuda bhi awaz day ga to palat kar na ayn gay.
Urvashi ham tayri parvah kartay hain aur tun bay parvahi
Ham tayray faqeer banay hovay hain aur tun afsar shahi.
Urvashi hamari mahabat tab haray ge jab tun isay haraAy ge
Warna duniya me isay haranay vala paida nahi huva.
Urvashi tujhay daikhta hun tujhay chahata hun
    Rab say sirf me tujhay mangta hun.
   

Rab say kuch na mangtay thay tun nay mangnay par laga diya
Ay urvashi rautela tun nay aik baar phir say hamain bhikari bana diya. 
Jis dar ko chor aAy thay usi dar pay jana para
Ay urvashi tayri khatir khuda k samnay girgirana para.
Ham khuda say tujhay mangtay hain to wo kehta hai abad kya meri koi qadr-o-qemat nahi
Ay urvashi rautela ab tun hi bata ham kya karain kidhar jain kis say tujhay mangain.
Urvashi ham tujh say tujhay mangtay hain hamari jholi bhar day
  Sanam bhagvan k liye ham pay itna to karam kar day.
  

Tayray hi dar k faqeer banay hovay hain tayray liye
Ay urvashi tujhay meri bat samajh kyun nahi ati.
Ashiq kaisay bardasht karay k mashoq kisi aur k paas jaAy
  Urvashi rautela khuda na karay k ashiq pay aisa waqt aAy.
Ashiq k liye to mashoq hi khuda hai
Urvashi rautela yehi pani hai yehi hava hai
     Ay sanam yehi zindagi hai yehi dava hai.
Jab ashiq ki hasti mashoq me ho jati hai fana
  Urvashi to phir ashiq ko hasil ho jati hai baqa.
Ay urvashi rautela tun hai meri mah laqa
  Tun kabhi bhi mat hona mujh say khafa.
 
     
      Tayra nazara milay tay kabay val kyun javan
       Urvashi tayra tavaf karan haj da savab kamavan.
Urvashi rautela make-up say look badalti hai nain naqsh nahi.ARK.
Tun puchna ayn yar vatana ay ya nai das
  Bhavain sonay milan hazaran asan nai yar vatana bas.
Urvashi ham tujh say pyar kartay hain tayray make-up say nahi
Hamaray paas ana ho to make-up karnay ki koi zarorat nahi. 
Ha haAy daikh to javan ho kar bhi tun abhi bachi hai
Ay urvashi rautela tujhay me hi pakaon ga tun abhi kachi hai. 

Urvashi rautela ye bachon vali harkatain chor ab tun javan hai
Me to tujhay kehta hun kalima parh lay bohat asaan hai.
Bazaron me shehron me galyon me chorahon me
  Har taraf tun hi hai sanam meri nigahon me.
Tun nay kar liya hai mera dil chori
Urvashi rautela tun ban gai hai meri kamzori.  
Ay urvashi rautela aksar mashoqon ko apnay ashiqon say gila hai
Tun khush qismat hai jo tujhay mujh jaisa ashiq mila hai. 
Nafrat ka to saval hi paida nahi hota tujhay ham say mahabat karni paray ge
Urvashi ham say nafrat karnay k liye tujhay apnay ap say jang larni paray ge.
Ay urvashi rautela tun nay bohat acha kiya jo zamanay say bay vafai seekh kar ham par tajurba kiya
Hamari jaga koi aur hota to tujh say badla layta ham nay to phir bhi tujhay pyar diya. 
Hathon pay mera nam likh kar kaisay muskura rahi hai
 Jaisay abad ko is nay apna pati maan liya ho. 


Urvashi tun mujhay khud say bhi zaida pasand aie hai
Tun wahid larki hai jo meray dil ko bhai hai.    
Urvashi rautela log mujh say pochtay hain kahan say seekha hai tum nay ye shairana andaz
Ham javab me kehtay hain hamara ik sanam hai us nay kheyrat me diya hai ye ezaz. 
    Hamain bay haal kar k pochti hai kya haal hai
      Urvashi rautela ab ye kya tayri koi nai chaal hai.
Tun nay hamain bay vafai k jitnay bhi zakham diye hain un say bhi vafa ki khusbo aie hai
Ay urvashi rautela tun bay vafa nahi ham ye jantay hain tujhay logon nay hamaray khilaf pati parhai hai.  
Urvashi rautela holi k rang kachay hotay hain jitnay marzi mana ley ye tehvaar
Hamara charhaya rang kabhi nahi utarta aik bar hamaray senay say to lag yar.
 


Bay shak logon k samnay mat kar izhaar
Urvashi par dil me mujhay zaroor kar pyar.
Mujhay is bat me koi dilchaspi nahi k tun kis khuda ko pojti hai
Urvashi rautela me to sirf itna janta hun k me tujhay pojta hun.
Kabhi socha na tha tun bhi meri sheh rag say qareeb ho jay ge
Ay urvashi rautela tayri vajah say shirk karun ga tun mujhay mushrik banaAy ge.
  Ay urvashi tun hi mera rab
    Ay urvashi tun hi mera sab.
   

Urvashi tayray siva kisi aur ko bivi bananay say behtar hai kunvara rahun
Urvashi kisi aur aurat k sath wisaal karnay say behtar hai judai ka dard sahun.
      Asan tay yar manana ay duniya nu bhul jana ay
      Urvashi rautela asan apna sab kuch tayray utay lutana ay.
Urvashi puri dunya me dikha day koi aik aisa chahanay vala
Apna deen dharam iman sab kuch apni mashoq pay lutanay vala.
           

Urvashi tun mera mazhab hai tun hamesha salamat rahay
Dua kar mujhay tayray ishq me hamesha istiqamat rahay.
Ranjhay ko zinda karo gay to heer k naray maray ga
Farhad ko zinda karo gay to shirin shirin pukaray ga.
Dil valay hi jantay hain dil valon ki batain
 Urvashi bohat mushkil say kat'ti hain firaq me ratain.
Ab to mera nimazi valid bhi mujhay kafir keh gaya hai
   Urvashi ab pechay bacha hi kya hai jo reh gaya hai.
  Ay urvashi rautela ay meri ladli
  Sain tayray naal ladyan paya karda ay.
     Urvashi ye producer kya janain tayri qadr-o-qemat
      Jo tujhay apni picture me role nahi daytay.
Hungama hai kyun barpa chori to nahi ki daka to nahi dala pyar kiya hai
 Ay logon tum kya jano kitnay salon tak ham nay hijr ka zehar piya hai. 
     
Ay urvashi rautela me producer hota to director bhi tujhay rakhta hero bhi tujhay heroine bhi tujhay
Sirf itna hi nahi karta apni jagah bhi tujhay day dayta koi na kehta producer mujhay.
Urvashi ye director nadan hain tayri qadr-o-qemat say anjan hain
  Me in ko batata hun tayri qadr-o-qemat saton asmaan hain.
Warning
Kisi ko haq nahi jo meri urvashi ko bura kahay
Me jo marzi kehna chahun keh sakta hun.
        Ab urvashi sirf model hi nahi meri mashoq bhi hai
      Ay musalmano zara is bat ka bhi dhayan rakhna tum.


Aik miti say bani haseena k itnay nakhray hain Abad
    To phir khud soch khuda me kitna garoor hona chahiye.       
---------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
Maulana tayri siyasat abhi kachi hai
  Meri mashoq aik achi bachi hai. 
Ay mula jab khuda k zikr say sakoon milta hai to phir tun pareshan kyun nazar ata hai
Musala bicha kar sirf zikr hi kerta raha kar halvay k liye kyun cheekta chilata hai.
Zara se barish say lahore paris k gatron ka nazara daynay laga
Shareef sahab najanay ye lahoriyon say kis cheez ka badla laynay laga.
Ay mula meri maan to tun bhi koi mashoq bana lay
Bhalu keh day mahabat k bagair parhi gai nimaz qabool nahi hoti.
Jab zara hosh sanbhala to quran ki samajh anay lagi
Quran ki samajh anay lagi to apni samajh thikanay lagi.
Tayray har saval ka javab dayta hai ye quran
 Ye wo kitab hai jis ki hai bari shan.
ik nigah jay ashiq takay lakh hazaran taray
 ik lakh nigah jay alim takay kadi na kisay charay.
Musalmano me koi mard hai to samnay aAy
 Mera waqt zaya na karay jaldi karamat dikhay.
 Me hun romi me hun iqbal
   Me hun faqar ki dolat say mala maal.
-----------------------------------------------------
Ay meray aqa ay meray mola ay sarvarey kainat ay shahenshaey dono jahan
Huzoor(s.a.w)aap hi karam karain na zameen sunti hai na sunta hai asman.
Ay sarvarey kainat ay khatamun nabiyeen
  Karam karain me hun banda miskeen.
Ay peygambar ay taajdarey haram ho nigahey karam
Zamanay ki saktiyan ham pay kar do naram.
Huzoor(s.a.w.)aap ki karam navazi hai jo bani huvi hai ab tak baat
Ay shafie rozey mehshar varna me kya hun aur kya hai meri auqaat.
Huzoor paak ki huzoori say hai mujhay manzoori
   Sain baglol ye log kya janain kya hai kastoori. 
------------------------------------------------------ 
Ay muslim ishq k bagair koi ho nahi sakta musalman
 ishq k bagair kalima aisay hai jaisay jism bagair jaan.
Mujh say aik aurat razi na hovi tun rab razi karna chahata hai
 Ay talibey haq mujhay bata kya tun vaqiye marna chahata hai.
ishq to hai hi jaan leyva ye jaan lay kar hi chorta hai
Ye talibey haq k jism say khon ka akhri qatra tak nichorta hai.
Hamain aurat ka visaal na mila teyra bazurg kehta hai mil gaya khuda ka visaal
Ay talibey haq meri bat dhayan say sun tayra bazurg ban gaya hai dijaal.
Mujh say aik aurat razi na hovi aur tun khuda ko razi karnay ka davay dar hai
Sain baglol tun kehta kyun nahi ay muslim tun jhota hai tun makaar hai.
Tayray bazurg jhotay hijray aur na mard
   Ashiq honay k davay dar bay dard.
Chamri bhi utar jati hai phir kahin ja kar hasil hota hai ishq me kamaal
Sain baglol ashiq to wo hussain tha jis nay qurban kar diya apna ahlo ayaal.
Ay abid tujh say khuda razi ho gaya ye tun nay kya keh diya
Shatan bhi to abid tha us say to aaj tak razi na huva.
Rab razi karna itna asaan hota to phir hussain gardan kyun katata
Ay ishq k davay dar musalman to phir hussain apna khon kyun bahata.
Ay musalman tujh say zaida koi munafiq hai to mujhay dikha day
Chal dikha nahi sakta to us ka nam hi mujhay bata day.
Ay naat khavan shohrat to tujhay mil gai hai
   Ab ye bata akhirat me kya javab day ga.
Tun hafiz bhi hai qari bhi hai par quran nahi
    Tun haji bhi hai nimazi bhi hai par insan nahi.
 Kuton say bhi badtar hain ye tayray jhotay wali
  Jo apnay matlab k liye istimal kartay hain namey ali.
Kya musalmano me koi mard nahi jo samnay aAy
Sirf aik mardey momin jo mujhay karamat dikhaAy.
Jis dil vich ishq na varya ethay rab na lavay deyray
Sain baglol aisa dil pleed hunda jithay shatan panda ay pheyray.
Na ay kam tasbiyan da na namazan da
Sain baglol ishq tay kam ay shabazan da.

Visit  www.Tasawur44.blogspot.com
  


 
    
 
    
   

   
    


   
    
 
   

 

      

No comments:

Post a Comment